Buchpan k dukh kitney achey hotey they.. Tub to sirf khiloney tuta kartey they.. Wo khushiyan b jaaney kesi khushiyaan thi.. Titli k per noch k uchla kartey they.. Paayo maar k khud baarish k paani me.. Apni naayo aap doboya kartey they.. Chotey they to makro faraib b chotey they.. Daana daal k chiriya pakra kartey they.. Apney jall jaaney ka b ahsaas na tha.. Jultey sholo ko chaira kartey they.. Ab to ik aansoo b ruswa karta hay.. Bachpan me to jii bhar k roya kartey they..
Dard kaisa bhi ho aankh nam na karo, Raat kaali sahi koi gam na karo, Ik sitara bano jagmagatey raho, Zindagi mein sada muskurate raho. Baantni hai agar bant lo har khushi, Gam na zahir karo tum kisi par kabhi, Dil ki gehrai mein gam chhupate raho, Zindagi mein sada muskurate raho. Ashk anmol hain kho na dena kahin, In ki har boond hai motiyon se haseen, Inko har aankh se tum churate raho, Zindagi mein sada muskurate raho. Faasley kam karo dil milate raho, Zindagi mein sada muskurate raho.