Jab jab dard ka baadal chaya Jab ghum ka saya lehraya Jab aansoo palkon tak aya Jab yeh tanha dil ghabraya Humne dil ko yeh samjhaya Dil aakhir tu kyun rota hai Duniya mein yunhi hota hai Yeh jo gehre sannate hain Waqt ne sabko hi baante hain Thoda ghum hai sabka qissa Thodi dhoop hai sabka hissa Aankh teri bekaar hi nam hai Har pal ek naya mausam hai Kyun tu aise pal khota hai Dil aakhir tu kyun rota hai
Pyaar main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta chahata hoon main tujhe aaj bhi par teri soch mei apna waqt bekar nahi karta chahata hoon main tujhe aaj bhi par teri soch mei apna waqt bekar nahi karta tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta jo kuch mila hai usi mei khush hoon main tere liye khuda se taqraar nahi karta par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta