Aakhen kholu to chehra tumhara ho, Band karu to sapna tumhara ho, Maar bhi jau to koi gham nahi, Agar kafan ke badle anchal tumhara ho.
Tanhaai me jab beete lamho ki yaad aati hai, Kya kahen jism se jaan chali jaati hai, Yun to unki berukhi yaad hai humein, Per aankhe band kare to surat unki nazar aati hai.
Dhalti raat ka khula ehsas hai, Mere dil me teri jagah kuch khas hai, Tum nahi ho yahan mujhe malum hai, Par dil kahta hai ki tu dil ke paas hai.
Mere chehre se utha do kafan, Mujhe aadat hai muskurane ki. Meri laash abhi mat jalana, Mujhe umeed hai unke aane ki.
her lamahay tujh se milne ki aarzoo kyun hai iss qader tujhe soachne ki aadat kyun hai her dum aankhun main rehti hai surat teri phir b bar bar tujhe daikhne ki hasrat kyun hai
sirf itna ussay btaa daina mujhe aata nahi bhula daina meri baatain to sirf baatain hain yaad aain to buss muskra daina
kabhi chanda ki nagri se koi paigham aye to kabhi taron ke honton par kisi ka naam aye to kabhi tareek shab mein koi jugnu jagmagata hai mujhe woh yad ata hai kabhi jab saans se uthhta dhuan mehsoos hota ho ajab si aanch pe harr ki ruan mehsoos hota ho tab us ke pyar ke sawan mein tann mann bheeg jata hai mujhe woh yad ata hai kabhi raton ko uth uth kar buhat bechain hote hon agar jo laitna chahen to bass takiye bhigotey hon koi roothi hui sab neend ki parian bulata hai mujhe woh yad ata hai kabhi jab titlion ke pankh bhi be rang ho jayen meri sari baharen bhi khizan ke sang ho jayen tabhi ik aas ka panchhi dar e dil khatkatata hai mujhe woh yad ata hai woh jis ke dhyan ki kirnen hamen harr subh jagati hain usi ki yaad ke saye mein shaamen muskurati hain mujhe chhu ke jo harr shab sang se heera banata hai mujhe woh yad ata hai
~ LaUt AaNa ~ Kabhi meri yad sataye to lot ana.. kabhi dil gabraye to laut ana... ghairon ko tu ne dil me basa lia hai... tere dil bar tum ko tuhkray to laut ana... Hazaron zakham tu ne mairay dil ko diye... jab tera koi dil dokhaye to laut ana... jewan ojaar k mera buhat khosh hoo tum... zindagee tairee koi barbad kar jaye to laut ana... meri zindagi me tu khazan bakir gai te tum... agar bahar tum sa root jaya to laut ana... zamane k sath aaj tum bohat khosh ho na... agar zaman tum ko char jaye toh laut ana... dil tera b jab zakhmo se chor jaye... koi b tum ko na apnaye toh laut ana...
Gaya zamana boht suhana Jo yaad aaun to laut aana Wo aankhon aankhon main baat karna Wo baaton baaton main raat karna Kabhi hasana kabhi rulana Humain tmhari he justaju hai Tmhari chahat ki aarzu hai Hmari chupmain b guftagu hai Samj sako to humain btana Jo yaad aaun to laut aana
TooTne lagte hain ham to,bikharne lagte hain "Kabhi kabhi jo tujhe yaad karne lagte hain" In ki hiddat se dil-o-jaan na pigHal jaayein Apne jazbaat ki shiddat se Darne lagte hain Dekh kar ham ko jo haq-goi par ho aamaada To pesh-e-aaina bhi ham mukarne lagte hain Koi jo pooch le ham se udaasiyoN ka sabab Tuhmatein iss pe,kabhi uss pe dharne lagte hain Ye kaise log mere ird-gird baste hain Hon jis k saamne,dam uss ka bharne lagte hain Ham apni khwahishoN k be-karaaN samandar mein Doob jaate hain magar phir ubharne lagte hain Itne hassaas k aankhoN se juda hone par Ham ko maaloom na tha,khwab marne lagte hain!
Ab teri yaad say wehshat naheen hoti mujh ko Zakham khulney se aziyat naheen hoti mujh ko Ab koi aaye chala jaye main khush rehta hoon Ab kisi shakhs ki aadat naheen hoti mujh ko Aesa badla hoon teray sheher ka paani pi kar Jhoot boloon to nidaamat naheen hoti mujh ko Main ne bhi ki hey mohabbat, so kisi ki khatir Koi marta hai to hairat naheen hoti mujh ko Itna masroof hoon jeenay ki hawas main yaaro Saans leney ki bhi fursat naheen hoti mujh ko