Eik Din Guzra Do Din Betay Aur Phir Sara Hafta Mujh Ko Us Ka Phone Na Aya Eik Gehri Tashwesh Ki Lehrin Meray Maan Sagar Pay Ubrihin Mainay Socha ! Pehlay Tu Woh Din Bhar Mujh Ko Phone Pay Phone Karti Thi Akhir Aisi Keya Baat Hoi ? Keya Woh Mujh Ko Bhool Gaey Hai ? Nahi .... Nahi Yeh Na Mumkin Hai !! Phone Tu Main Bhi Kar Sakta Tha ? Likin Mujh Par Pabandi Thi Kyon Kay Phone Pay Us Ki Marzi Chalti Thi Sirf Us Ki Marzi Aur Phir Poray Haftay Baad Jab Us Ka Phone Aya Randhi Hoi Awaz Main Boli "Jaey ... Huh Jaey Hum App Say Baat Nahi Kartay App Wafa Say Na Waqif Hain App Kay Pass Tu Lafz Hi Lafz Hain Lafz Jin Kain Rooh Nahi Hai App Khandar Hain , Weerana Hain App Ko Parwa Nahi Kisi Kay Jazboon Ki " Main Heeran Tha !! Akhir Muhj Say Aisi Keya Galti Hoi Hai Woh Ghum Ki Tasweer Bani Hai Apnay Jurm Ki Noyiat Jab Pochi Tu Woh Phoot Kar Roei Aur Phir Rotay Rotay Uss Ny Mujh Ko Mera Jurum Bataya Tarap Kar Boli " Hafta Pehaly Jis Din Meri Salgirah Thi Mainay Nay App Ko Phone Keya Tha App Say Us Din Har Mozooh Par Baat Hoi Thi Likhin App Ko Yaaad Nahi Tha !! Eik Zara Sa " Wish" Karna Bhi Yaad Nahi Tha !! " Yeh Sun Kar Bey Sakta Mainay Apnay Sir Ko Patka Khud Ko Kosa Pechlay Saal Bhi Yeho Howa Tha Yani Pechlay Saal Bhi Us Ki Salgirah Main Bhool Gaya Tha " Duhray Qatal " Ka Mujrim Tha Main Kehtay Hain Kay Pas-E-Manzar Kay Aksar Manzar Jeevan Ka Hisa Hotay Hain Mujh Par Bachpan Tu Utra Tha Likhin Salgirah Ki Khushyan ? Main Inn Say Waqif Hi Kab Tha ? Aisay Mubarak Lamhay Meray Bacpan Main Agar Ai Hotay "Wish" Karnay Ki Aadat Mujh Main Rasik Hoti Bachpan Sagar Ki Yeh Lehrin Mujh Main Thatin Marti Rehtin ? Tahum Mainay Idhar Udhar Ki Batin Kar Kay Ussay Manaya Aur Iss Say Yeh Ehad Leya Kay Is Ki Salgirah Kay Din Ko Aglay Saal Nahi Bholon Ga Kabhi Na Ab Yeh Jurum Karon Ga !!