dhund mein shaam ki kuch naam ubhar aaye hain dil ki jaageer hain jo rooh ke sarmaaye hain alvida shaam huai naam nahi jaate hain kiya kisi berhte huae khouf se ghabraaye hain rehguzar sooni hai ab khawaab nahi dil mein koi kitni mushkil se haqeeqat ko samaz paaye hain zindagi chalti rahi aas magar bujhti gai ab to khud se bhi bahut door chale aaye hain koi na dil mein rakhe itni soch kehte hain banti hai soch zehar aaj samaz paaye hain unhe na meri khabar na hi mujhe unki khabar aisa ye shehar hai aise mere humsaaye hain... ..
Neend say bojhel jalti Aankhie'n Lambi banjer jaagti raatien jab bhi main koi sapna dheko'n Sapna dhek kar dar jata hoo'n Sapnay akser dhuk daty hain Uljhay Uljhay rooz-o-shab May nawaqif bigaany saray In may jab koi apna dhekon Milnay say bhi katrata hoon Apnay akser dhuk daty hain......
Meri ratein….. teri yadon sey sajee rehti hain Meri sansen teri khushbo mein basi rehti hain Meri ankhon mein tera sapna saja rehta hai Haan…mere dil mein tera aks basa rehta hai Iss tarah merey dil key bohot paas ho tum Jis tarah paas hi sheh e rag ke Khuda rehta hai Tum ko malom bhi shayed ye kabhi ho ke na ho..!! Mere angan mein lagay phool gawahi dein gay Mein ney arsay sey kisi phool ko dekha bhi nahin Tujh ko socha hai to phir tujh ko hi socha hai faqat Terey siwa ……..kisi aur ko socha bhi nahin Tum ko malom bhi shayed ye kabhi ho ke na ho..!!
Tum rooth jao mujhsay ehsa kabhi na kerna main ik nazar ko tarsoon ehsa kabhi na kerna main pooch pooch haroon soh soh sawal kar k tum kuch jawab na do ehsa kabhi na kerna mujhse hi mil ker hasna mujhse hi mil ker roona mujhse bicher k jee lo ehsa kabhi na kerna Tum chand bun k rehna main dehkta rahoon ga kisi roaz Tum na niklo ehsa kabhi na kerna tum chalay jao jub, tu deikhoon tumhara raasta Tum loat k na aaoo ehsa kabhi na kerna......~~~~!!!!!
main Aesi Aam Larki Hun jise Samjha Nahi Koi!! ju Sare Khel Bachpan K khilonoun Main Sajati Thi ju Apne Dil K Sab Manzar rangoun Se Banati Thi ju Kuch Pane Ki Koshish Main yunhi Haley Banati Thi kitaboun Se Sabhi Haley jala Paya Nahi Koi main Aesi Aam Larki Hun samajh Paya Nahi Koi kisi Din Un Khyaloun Main muhabbat Ki Chamak Bhi Thi magr Aesi Chamak Us K khwaboun Tak Hi Rehti Thi usi K Un Khwaboun Ne yunhi Bas Ankh Kholi Thi parhe Tukre Thay Khwaboun K bhari Ranjish Se Jholi Thi usi Jholi K Kuch Dhabbe mita Paya Nahi Koi main Aesi Aam Larki Hun samajh Paya Nahi Koi wo Hansti Khelti Ankhein yunhi Ash
... Read more »
Ik khawab hai is khawab ko khona bhi nahin hai Tabeer ke dhaagay main pirona bhi nahin hai Lipta hua hai diL say kisi raaz ki surat Wo shakhs keh jisko mera hona bhi nahin hai Yeh ishq-o-muhabbat ki riwayat bhe ajab hai Paaya nahi jis ko,usay khona bhi nahin hai Jis shakhs ki khaatir teraa yeh hal hua Us ne tere mar janay pe rona bhi nahin hai
tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto ab ho chalaa yaqein ke bure ham hain dosto kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karein aankhein to dushmanoun ki bhi pur_nam hain dosto apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise apani talaash mein to ham hi ham hain dosto kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa kuchh shahar ke chiraaG bhi maddham hain dosto is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo ab dil ki raunaqein bhi koi dam hain dosto sab kuchh sahi par itanaa zaruur hai duniyaa main aise log bahut kam hain dosto