Suno Larki......! Abhi Tum Ishq Mat Karna Abhi Gurya Say Khelo Tum Tumhari Umar Hi Kya Hai Faqat Satra Baras Ki Ho Abhi Masoom Bachi Hai Nahin Maloom Abhi Tum Ko K Jab Yeh Ishq Hota Hai Tu Insaan Kitna Rota Hai Sitaray Toot Jatay Hain Saharay *** Jatay Hain Abhi Tum Nay Nahin Dekha K Jab Sathi Bichartay Hain Tu Kitna Dard Milta Hai K Har Farqat K Mousam Main Hazaroon Ghum Ubhartay Hain Hazaroon Zakhm Khultay Hain Suno Larki.....! Meri Mano Parhai Par Tawajo Do Kitaabon Main Gulabon Ko Kabhi Bhoolay Say Mat Rakhna Kitabain Jab Bhi Kholo Gi Yeh Kanton Ki Tarhan Dil Main Chubhain Gay Khun Bahain Gay Tumhain Pehroon Satain Gain Kisi Ko Khat Nahin Likhna Likhai Pakri Jati Hai Bari Ruswai Hoti Hai Kisi Ko Phone Mat K
... Read more »
Kal Hamesha Ki Tarah Us Ney Kaha Yeh Phone Per Main Bohut Masroof Hoon Mujh Ko Bohut Sey Kaam Hain Is Liyey Tum Aap Milney Main To Aa Sakti Nahi Her Rawayat Tor Ker Is Baar Main Ney Keh Diya Tum Jo Ho Masroof To Main Bhi Bohut Masroof Hoon Tum Jo Ho Mashhoor To Main Bhi Bohut Maroof Hoon Tum Ager Ghamgeen Ho To Main Bhi Bohut Ranjoor Hoon Tum Thakan Sey Choor To Main Bhi Thakan Sey Choor Hoon Jan-E-Man Hey Waqt Mera Bhi Bohut Hi Qeemti Kuch Puraney Doston Ney Milney Ana Hey Abhi Main Bhi Ab Farigh Nahi Mujh Ko Bhi Lakhon Kaam Hain Warna Kehney Ko To Sab Lamhey Tumharey Naam Hain Mery Ankhain Bhi Bohut Bojhal Hain Sona Hey Mujhey Ritjagon Key Baad Ab Neendon Main Khona Hey Mujhey Main Lahoo Apni Anaon Ka Baha Nahi Sakta Tum Naheen Ateen To Milney Main Bhi Aa Sakta Nahi Us Ko Yeh Keh Key Wasi Main Ney Reciever Rak
... Read more »
Jab mein haar jaati hoon ... Jab mein haar jaati hoon Haan ... Jab mein haar jaati hoon Mein laut nahee paati Bas thehar jaati hoon Log jab haartay hain tu Gharoon ko laut jaatay hain Magar mein tu ruk jaati hoon Aur mere baal dhool se att jatay hain Meri paoon thakkan se shall Magar mein bas ek jagah khari Patthar aankhoon aur pathar dil se sab ko dekhti jati hoon Kyon ke Mein buzdil hoon Mujh mein lautnay ki himmat nahee hoti Mein darti hoon Mein laut gaee tu Mere dil ki aag dheemi par jaayegi Mere muqabil ki khushi ki tarah Is liye Jab mein haar jaati hoon Mein ruk jaati hoon Ke jeetne waloo ko koi dukh na ho Meri kami bhi mehsoos na ho Bhala jeetne waloo ko koi pachtawa kyon ho Sazaayain tu Haarne waloo ka maqsoom hoti hain Jab mein haar jaati ho tu ro bhi nahee paati Kyon ke Muhabbaton ka soug nahee manaatay <
... Read more »