Saath Humara pal bhar ka sahi, par woh pal aise jaise koi kal nahi rahe zindagi mein shayad phir milna humaara par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi ————————————– Din jo guzar gaye hai yunhi Raat bhi dhal gayi hai yunhi Koshish tho bahut ki dil ne Zuban pe baat rah gaye yun ————————————– chal padi hai kashtiyaan samandar, door hai kinaraa in maajoon se pooch lena, kya haal hai hamara ab hawaein kareingi, roshiniyon ka faisla jis diye main jaan hogi, woh diya reh jayega ————————————– Guzare Huve Kal Ki Yaad aati hai, kuch lamhon se aankhen bhar aati hain, woh subah rangeen shaam nirali doob jati hain, jab aap jaise doston ki yaad aati hai. ————————————– e kaash kahin aisa hota ki do dil hote seene main ek toot bhi jaata ishq mein to taklif na hoti jeene mein. ————————————– Bechara Kuch Is Ada Sey Rukh Hi Badal Gaya Ek Shaks Sarey Shehar Ko Veeran Kar Gaya