wo jo dil main tera makaam hai
kisi or ko wo diya nahi
wo jo rishta tujhse hai ban gaya
kisi or se wo bana nahi
wo jo pyar tujhse hogaya
kisi or se wo howa nahi
wo jo raaz tujhse keh diya
kisi or se wo kaha nahi
wo jo sukh mila teri zaat se
kisi or se wo mila nai
too basa hai ankhon main is tarhan
koi or aise basa nahi
tera naam dil main hai jis tarhan
koi naam aisa likha nahi