Ajnabi shehar k ajnabi rasty
Meri tanhayi par muskarate rahe.
Main bohut dair tak yunhi chalta raha
Tum bohut dair tak yaad ate rahe
Zaher milta raha zaher pity rahe
Rooz marte rahe rooz jite rahe
Zindagi bhi hameen aazmati rahi
Aur ham bhi usse aazmaty rahe
Zakham jab bhi koi zehan o dil par laga
Zindagi ki taraf aik daricha khula.
Ham bhi goya kisi saaz ke taar hain
Choot khate rahe gungunate rahe
kal kuch asa huwa main bohut takh gaya
Isliye sun k bhi ansuni kar gaya
Kitni yadoon k bhatke huwe karwaan
Dil k zakhmon k dar katkhatate rahe
Ajnabi shear k ajnabi raste
Meri tanhayi par muskaraty rahe