Eik Din Guzra Do Din Betay Aur Phir Sara Hafta Mujh Ko Us Ka Phone Na Aya Eik Gehri Tashwesh Ki Lehrin Meray Maan Sagar Pay Ubrihin Mainay Socha ! Pehlay Tu Woh Din Bhar Mujh Ko Phone Pay Phone Karti Thi Akhir Aisi Keya Baat Hoi ? Keya Woh Mujh Ko Bhool Gaey Hai ? Nahi .... Nahi Yeh Na Mumkin Hai !! Phone Tu Main Bhi Kar Sakta Tha ? Likin Mujh Par Pabandi Thi Kyon Kay Phone Pay Us Ki Marzi Chalti Thi Sirf Us Ki Marzi Aur Phir Poray Haftay Baad Jab Us Ka Phone Aya Randhi Hoi Awaz Main Boli "Jaey ... Huh Jaey Hum App Say Baat Nahi Kartay App Wafa Say Na Waqif Hain App Kay Pass Tu Lafz Hi Lafz Hain Lafz Jin Kain Rooh Nahi Hai App Khandar Hain , Weerana Hain App Ko Parwa Nahi Kisi Kay Jazboon Ki " Main Heeran Tha !! Akhir Muhj Say Aisi Keya Galti Hoi Hai Woh Ghum Ki Tasweer Bani Hai Apnay Jurm Ki Noyiat Jab
... Read more »
Ajnabi Si Raahon Ka Ajnabi Musafir Aik Mujh Say Pooch Betha Hai Raasta Bata Do Gay?
Ajnabi Si Rahon Kay Ajnabi Musafir Sunn Rasta Koi Bhi Ho Wasta Koi Bhi Ho Manzilein Nahin Miltein Manzilein To Dhoka Hain Manzilein Jo Mil Jaain Justaju Nahin Rehti Zindagi Ko Jeenay Ki Aarzoo Nahin Rehti
Janay Kitni Mushkil Baat Thi Jo Main Tum Say Yeh Na Keh Saka Kay Tum Hi Tu Ho Jis Say Meray Dil Ko Qarar Hay Kay Tum Hi Ho Jis Say Meri Zindagi Men Bahar Hay Kay Tum Hi Ho Jis Ki Baatain Meray Chehray Pay Qaus-E-Qazah Sameet Ti Hain Kay Tum Hi Ho Jis Ki Maujoodgi Meri Zindagi Men Rang Bikhayr Ti Hay Kay Tum Hi Ho Sirf Tum Hi Tu Ho Jis Ki Judai Meri Aankhon Ko Ghanton Bhigaoy Dayti Hay