tanhai har traf chayi hey tuney di mujh ko bas Ruswai hey dard-u-gham sey bhara mera damann hey tuney kaisi aag is dil mein lagai hey jin aankhon mein khuwab sajaye they aaj wohi aankhein bhar aayi hein aik tujh hi ko maana tha apna tu bhi nikla harjai hey kiyon KHUDA ney likhi hey taqdeer meri aisi merey karam main piyar ki koi jaga nahi banai hey ab piyar,ishq muhabbat mein atibaar na raha k main ney is raastey pey thukar hi khayi hey...!!
faasale aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa saamane baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa vo ki Khushbuu kii tarah phailaa thaa mere chaar suu mai.n use mahasuus kar sakataa thaa chhuu sakataa na thaa raat bhar us kii hii aahaT kaan main aatii rahii jhaaNk kar dekhaa galii me.n koii bhii aayaa na thaa aks to maujuud the par aks tanahaaii ke the aa_iinaa to thaa magar us me.n teraa cheharaa na thaa aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye aaj main royaa to mere saath vo royaa na thaa ye sabhii viiraaniyaa.N us ke judaa hone se thii.n aaNkh dhuNdhalaa_ii hu_ii thii shahar dhu.Ndhalaayaa na thaa yaad karake aur bhii takaliif hotii thii
bhuul jaane ke sivaa ab ko_ii bhii chaaraa na thaa
Ik khawab hai is khawab ko khona bhi nahin hai Tabeer ke dhaagay main pirona bhi nahin hai Lipta hua hai diL say kisi raaz ki surat Wo shakhs keh jisko mera hona bhi nahin hai Yeh ishq-o-muhabbat ki riwayat bhe ajab hai Paaya nahi jis ko,usay khona bhi nahin hai Jis shakhs ki khaatir teraa yeh hal hua Us ne tere mar janay pe rona bhi nahin hai