Dard kaisa bhi ho aankh nam na karo, Raat kaali sahi koi gam na karo, Ik sitara bano jagmagatey raho, Zindagi mein sada muskurate raho. Baantni hai agar bant lo har khushi, Gam na zahir karo tum kisi par kabhi, Dil ki gehrai mein gam chhupate raho, Zindagi mein sada muskurate raho. Ashk anmol hain kho na dena kahin, In ki har boond hai motiyon se haseen, Inko har aankh se tum churate raho, Zindagi mein sada muskurate raho. Faasley kam karo dil milate raho, Zindagi mein sada muskurate raho.
Mohabbat bewafa k siwa kuchh bhi nahi, duniya gam k siwa kuchh bhi nahi Unke pas hamare siwa sab kuchh hai, par hamare pas unke siwa kuchh bhi nahi......
Zindgi Jab Bhi Teri Bahon Mein Lati Hai Hamein, Yeh Zaami Chand Se Behtar Nazar Aati Hai Hamein, Har Mulakat Ka Anjam Judai Kyon Hai, Aab To Har Waqt Yahi Baat Satati Hai Hamein.............
Mohabbat Se Hamain Kya Umeed Hoti Hai, Mohabbat To Beumeed Hoti Hai, Chahate Hai Jine Hum Jaan Se Bhi Zyada, Bewafai Unhi Se To Naseeb Hoti Hai...........
Ek muskrahat pe apni jan diya kartay hain Har aahat pehchan liya kartay hain Humain nhi maloom pr log kehte hain keh Hum neend main b apka NAAM liya karte hain ---------------------------------- Pass aakar sabhi door chale jate hain, Akele the hum akele reh hi jate hain Is dil ka dard dikhayein kise Marham lagane wale hi zakm de jate hain ---------------------------------- Ehsas-e-aarzu ko dil se mita na sko gay, Bhoolna chaho hame bhula na sko gay, Ye chirag-e-dosti dil se jalaya hay hm nay, Jal jao gay magr bhuja na sko gay...!
mat samajhna ke Mein ne tumhari yaadoon ko bhula diya hai
Agar mein kabhi Kisi ka haath thaam kar Hansti huwi nazar aaoon Tu yeh mat samajhna ke Mein ne tumhari yaadoon ko bhula diya hai Woh pehla naqsh jo yaad ban kar Mere dil mein jam sa gaya hai Ajnabi qadmoon ki aamd-o-raft ne mita diya hai Khali frame ke ander Maslehat ke taur per Mein ne kisi aur ki tasveer sajai tu hai Magar tum tu jaantay ho Meri jaan... Jis tarah bichar jaana Tumhari majboori ban gaya Ussi tarah zinda rehne ke liye Mein ne bhi waqt ke saath Ek samjhota kiya hai ...
Faqat ek khawaab ki chaah mein har hakeekat bhula di hum ne Ab sochtay hain kyoon khud ko yah saza dee hum nay
Dono hee qaid rahay apni an'a kay hisaa
... Read more »
May you find serenity and tranquility in a world you may not always understand.
May the pain you have known and the conflict you have experienced give you the strength to walk through life facing each new situation with optimism and courage.