Yeh Duniya
Youn jurm-e-mohabbat ki saza deti hai yeh duniya, Hanstey huey cheron ko rula deti hai yeh duniya, Marney ki tamanna ho tou, marney nahi deti yeh duniya Jeetey hain tou jeeney ki saza deti hai yeh duniya
Jate Hai
Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate hai, Soch Ko Badlo To sitare Badal Jate hai, Kashtiya Badal ne ki jarurat nahi, Disha Ko Badlo to Kinare Khud-b-Khud badal jate hai
Kuch rishte anjane mein ho jate hai, Pehle dil phir zindagi se jud jate hai, Kehte hai uss daur ko dosti, Jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai
Muskurata Hai
Zindagi mein kai mushkilein aati hai, Aur insaan zinda rehne se ghabrata hai, Na jaane kaise hazaaron kaanton ke beech, Reh kar bhi ek phool muskurata hai
|