Aaj Barsoon K Bad Dekhaa Hai Ab Bhi Aankhon Ka Rang Gehra Hai Aur Chehre Ki Sanwali Si Lakeer Dil Main Kitne Diye Jalaati Hai Teri Qaamat K Saye Ki Khushboo Guftugoo Main Bahaar Kaa Mosum Be Sabab Aitbar Ka Mousum Kion Mujhe Sare Dhang Yad Rahe Kitni Heraan Ho Gai Khud Per Main Tujhe Aaaj Tuk Nahin Bhooli Pichle Mosum Ki Yaad Baqi Hai
Yeh Aankhen Bohat Satati Hain Yaadon Ke Khuwaab Dikhati Hain Mujhe Saari Raat Jagati Hain Kab Dil Ke Raaz Chhupati Hain Palkon Ke Dareeche Kholti Hain Kuch Apni Zaban Main Bolti Hain Bas Apni Baat Manwati Hain YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN Ek Aan Main Faisla Karti Hain Yeh Kab Ruswayi Se Darrti Hain Yeh Ghungroo Baandh Nachati Hain Her Waqt Yeh Jaagti Rehti Hain Ek Khoj Main Bhaagti Rehti Hain Thak Haar Ke Wapis Aati Hain YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN Chupke Se Kahin Lad Jaati Hai Phir Khuwabon Se Bhar Jaati Hai Jab Toote Shor Machati Hai Yeh Royen To Dil Bhi Rota Hai Kab In Se Judda Yeh Hota Hai Yeh Dil Ko Rog Lagati Hai Kyu Pyaar Kiya Pachtati Hai Yeh Aankhen Bohat Satati Hain
"MUHABBAT” Main Muhabat hoon mujhe pyar ker k dekh, Main muhabat na doon to kehna. Main muskurahat hoon mujhe hans ker dekh, main na sajoun tere honto per to kehna. Main khushbu hoon mujhe mehsus ker k dekh, na mehkun teri zindagi main to kehna. Main zindagi hoon mujhe apna ker k dekh, na bano tera to kehna. Main chahat hoon mujhe seene se laga kar dekh, Na lagun seene se to kehna. Main dil houn mujhe sun k dekh, na dhadkun tere dil main to kehna. Main raah hoon,mujh per chal ker deakh na teri rah per chalun to kehna. Main shama hoon mere pass aaker to deakh na roshni doon to kehna. Main kali hoon mujhy cho ker deakh na phoul doun to kehna. Main phool houn mujhy honto se laga ker dekh na mehka doon din raat to kehna, MEIN MUHABAT HOON…!
Woh Log Bohat Hi Achhay Thay Jo Ishq Ko Kaam Samajhtay Thay Ya Kaam Se Aashiqui Kartay Thay Hum Jeetay Jee Masroof Rahay Kuchh Ishq Kia, Kuchh Kaam Kia Kaam Ishq Ke Aaray Aata Raha Aur Ishq Kaam Se Ulajhta Raha Aur Phir Aakhir Tang Aa Ka Hum Nay Donon Ko Adhoora Chhor Dia
Mere liye meri duniya ho tum. Chu kar jo guzri woh hawa ho tum, Mein ne jo mangi woh dua ho tum. Karey mujh ko jo roshan woh diya ho tum, Dil yeh kahey mera jiya ho tum. Kiya mein ney mehsoos woh ehsaas ho tum, Mere honto ki pyaas ho tum. Mere baahon ki Aas ho tum, Meri nazar ki talaash ho tum. Meri zameen ka akaash ho tum, Mere chehrey ki kashish ho tum. Mere sitaron ki gardish ho tum, Meri zindagi ka karaar ho tum. Mein ney jo chaha woh pyaar ho tum, Meray intizaar ki raahat ho tum. Mere dil ki chaahat ho tum, Tum ho to yeh duniya hai meri kaisey kahoo key meri jaan ho tum