Apni nazar me meri nigaah phir kyon dhoondhte ho.. Apni tanhai me meri kami kyon mehsoos karte ho.. Apne ahsaason me meri chhuuan kyon talashtey ho.. Apne lafzon se aksar yeh faasley kyon taye karte ho ` Khwabon mein aate ho TUM yaadon mein aate ho TUM jahan mein jau jahan mein dekhu mujhe nazar aate ho TUM ` Aankhon me rahne walo ko yaad nahi karte, Dil me rehne walo ki baat nahi karte, Hamari to ruh me bus gaye hain aap, Tabhi to hum milne ki fariyaad nahi karte ` Kuch nasha teri baat ka hai Kuch nasha dhimi
... Read more »
Apno se juda kar deti hai, Aakhon mein paani bhar deti hai, Kitni shikayat hai zindgi se. Phir bhi iska aitbaar hai, Phir bhi iska intzaar hai, Humko mohabbat hai zindgi se. Kabhi khushiyon ka mela lagta hai, Kabhi har koi akela lagta hai. Kabhi humpe karam pharmati hai, Kabhi humse nazar churati hai. Palkon se isko chakhte hain, Isey pass hi apne rakhte hain, Itni nazakat hai zindgi se, Humko mohabbat hai zindgi se. Humko adaayein dikhati hai ye, Jeena bhi humko sikhati hai ye. Kabhi paas hai to kabhi door hai, Ye zindgi bhi badi mashhoor hai. Kabhi karti hai aankh micholi, kabhi sajaye sapno ki doli, Itni shararat hai zindgi se. Humko mohabbat hai zindgi se. Door ye ho to ghum hota hai, Pass ho to iska karam hota hai. Khud apni marzi se chalti hai, Suraj ki tarah se ye dhalti hai. Isey jab bhi hum dekhte hain, Mann
... Read more »
Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon, Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hon, Tumhain milne se pehle main bohut sajta sanwarta hon, Magar jub tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon, Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hon, Magar kuch tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hon, Main aksar yehi kehta hon, main tum say pyar karta hon, Magar jub tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hon..
Humare Chale jaane ke Baad Yeh Samandar Ki Ret Bhi Tumse Pucha Karegii Kahan Chala Gaya Woh Shaqs Jo Tanhaii Main Aa kar Bas Tumhara hi naam likha karta tha
Tmhara naam likhta hn Main kaghaz pe Dekhta hn Sochta hn Wo kaghaz phaad deta hn Phr un kaghaz k tukro’n ko Mutthi me bheenchta hn Phenk deta hn Wahi’n pr beth k larta hn khud se Wohi kaghaz uthata hn Main aankho’n se lgata hn Main tum ko sochta hn Phir uss paani ko Taweez-e-Mohabbat jaan ker peeta hn Aankhei’n moond leta hn !!!!