Merey sabar ka na ley Imtehaan Meri khaamoshi ko sada na dey Jo terey baghair na jee sakey Usey jeeney ki to duaa na dey
Tu azeez Dil-o-nazar sey hai Tu qareeb Rag-o-jaan sey hai Merey Jissm-o-jaan ka yeh faisla Kaheen waqat aur barha na dey
Tujhe bool ke bhi na bulaa sakoon Tujhe chah ke bhi na pa sakoon Meri hasraton ko shumaar kar Meri chahaton ka silaa na dey Wo tarap jo shula-e-jaan mein thi Merey tan badan sey lypat gaye Jo bujha sakey to buja isey Na bujha sakey to hawa na dey
Tujhe agar milein kabhi fursatein Meri shaam phir sey sanwaar dey Agar qatal karna hai to qatal kar Yoon judayioon ki saza na
... Read more »
abhi to sirf... UmeedeN hi reh gaee hain Kyoun k shayd dua’een... Apna asar kho bethi hain !! Dua'oon ki qabooliyat se... Mera yaqeen dagmagata ja raha hay !! Suna tha... Dua to qismat badal deti hay Kia tuu meri qismat ma nahiN, Ya... Kia meri dua ab tak na mukamil hay??
Mery Duaen Pacheeda Boht Hain Sham Ka Waqt Hai Duaon Ki Manzori Ka Waqt Hai Main Kaise Duaon Ko Yaad Karon Meri Duaen Pacheeda Boht Hain Mere Dil Main Boht Be Aser Duaen Hain Boht Si Duaon Ki Bajaye Mere Dil Main Ek Hi Dua Hoti To Acha Hota.
har taraf, har jagah, har kahi pe hai, haan usika noor roshni kaa koi dariyaa to hai, haan kahi pe jaroor
ye aasmaan, ye jamin, chaand aur sooraj kya bana saka hai kabhi koi bhi kudrat koi to hai jiske aage hai aadmi majboor har taraf, har jagah, har kahi pe hai, haan usika noor
insaan jab koi hai raah se bhatkaa isne dikhaa diyaa, usko sahi rastaa koi to hai jo kartaa hai mushkil hamaari door har taraf, har jagah, har kahi pe hai, haan usika noor roshni kaa koi dariyaa to hai, haan kahi pe jaroor
Mujhe Maut De K Hayat De Mere Be Hunar Marsat De Meri Pyaas Sadyon Ki Pyas Hai Mere Karbala Ko Faraat De Mere Ratjagon K Hisaab Main Koi Aik Neend Ki Raat De
Bhujty Hue Diye Ki Dua Kaam Kar Gae Ik Shaab Ki Gode Kitny Sitarun Sy Bhar Gae Maa Ko Talashe Rizq Ny Rasta Bhula Diya Bachi Thithar K Raat K Saae Main Maar Gae Khud Baar-E- Khastagi Sy Gire Chhat Makaan Ki Tuhmaat Magar Bhataktti Hawaoon K Saar Gaye