faasale aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa saamane baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa vo ki Khushbuu kii tarah phailaa thaa mere chaar suu mai.n use mahasuus kar sakataa thaa chhuu sakataa na thaa raat bhar us kii hii aahaT kaan main aatii rahii jhaaNk kar dekhaa galii me.n koii bhii aayaa na thaa aks to maujuud the par aks tanahaaii ke the aa_iinaa to thaa magar us me.n teraa cheharaa na thaa aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye aaj main royaa to mere saath vo royaa na thaa ye sabhii viiraaniyaa.N us ke judaa hone se thii.n aaNkh dhuNdhalaa_ii hu_ii thii shahar dhu.Ndhalaayaa na thaa yaad karake aur bhii takaliif hotii thii
bhuul jaane ke sivaa ab ko_ii bhii chaaraa na thaa
meri rooh nikalne wali hoge..... Meri saas bikharne wali hoge......... Phr daman zindagi ka chooty ga......... Dhaga saas ka tooty ga....... Phr wapis hum na ayein gy.......... Phr hum se koi na roothy ga......... Phr in akhon mein noor na hoga.......... Ye dil ghum se choor na hoga......... Us pal tum humko thamo gy hum se pyar mango gy.......... Phr hum kuch bhe na bolein gy.......... Akhein bhe na kholein gy......... Us pal tum bhe row do gy.......... Hum ko tum bhe kho do gy.......
Mujhse milne ke woh karti thi bahaane kitne Ab guzaarega mere saath zamaane kitne.. Main gira tha to baahot log ruke the lekin Sochta hoon mujhe aaye the uthaane kitne.. Jis tarah maine tujhe apna bana rakha hai Sochte honge yahi baat na jaane kitne.. Jis Tarah Maine Tujhe Apna Bana Rakha Hai Tum Naya Zakhm Lagao Tumhe Isse Kya Hai..
Why do you hurt me When u know how much I love u Why do u leave me alone When u know how much I need you Why do I wait for you When I know the wait is gonna be so long Why do I expect happiness around you When I know this can never happen Why do I ever hurt you When I know this would bring me pain Why do I expect so much When I have nothing to return If love meant to be tears and sorrow Why do we feel happy in love Why do we still cherish every moment That we have spent in love. I still love u no matter whatever pain it has caused Will always do the same, no matter w hat you have done .
... Read more »
Abhi wo dard baki hai Agar yeh waqat marhum hai magar kuch waqat lagta hai kisi ko bhool janey mein dobara dil basaney mein abhi kuch waqat lagna hai abhi wo dard baqi hai mein kaisai nayee ulfat mein apni zaat ko gum kar doon keh mere jism-o-wajdaan mein abhi wo fard baki hai abhi uus shakhs ki muj per nigah-e-sard baki hai abhi tou ishq kay rastoon ki muj per gard baki hai abhi wo dard baqi hai
Ajeeb Larka Hoon Khud Ko Jalana Chahta Hoon Mai Khud Ko Rakh Ker Kaheen Bhool jana Chahta Hoon Mere Naseeb Ki Khushiyaan Bhee Kab Mili Mujh Ko Bas Ab To Umer Bher Aansoo Bhana Chahta Hoon Najanay Kitni Mohabbat Hai Ranj-O-Ghum Se Mujhe Koi Bhee Dard Ho Dil Mai Chupana Chahta Hoon Baha Baha K Ye Aasnoo Bikhar Chuka Hoon Bohat Simat K Zaat Mai Ab Muskurana Chahta Hoon Jisay Eik Umer Dil Mai Chupa K Rakha Hai Wo Raaz Aaj Mai Sab Ko Batana Chahta Hoon Wahee Hai Yaad Jo Acha Kaha Hai Logon Ne Baqi Saaray Sitam Bhool Jana Chahta Hoon Mujhe Zamanay Ne Pathar Samjh Liya Hai Mager M
... Read more »
yeh ghazal us dil ki awaz hai jise kabhi khushi meysar na huwi . ek dard ka izhar hai yeh Ghazal,umeed hai aap ko pasand ayengi aur aap hosla afzai karange. Ashqok ka ankhon main basera hai dil main chha gaya phir ek andhera hai mushkil se militi hai khushi magar har khushi pe gham ka pehra hai Asmano ko chuna jab bhi chaha Parwaz par laga zamane ka pehra hai nind aankhon main nahin,bechaniya hai jagii raaton ko sitaron ka sahara hai baharon ko dekhe bhi to kaise har taraf to barbadiyon ka nazaraa hai gham ke fasane kahe kiss se izhaar e dard ko shayari ka asra hai Ashqok ka ankhon main basera hai dil main chha gaya phir ek andhera hai