Pyar Mujhse Jo Kiya Tumne Toh Kya Paaogi
Mere Haalaat Ki Aandhi Mein Bikhar Jaaogi
Ranj Aur Dard Ki Basti Ka Mein Baashinnda Hun
Ye Toh Bas Mein Hun K Is Haal Mein Bhi Zinda Hun
Khwab Kyu Dekhun Vo Kal Jispe Mien Sharminda Hun
Mein Jo Shrminda Hua Tum Bhi Toh Sharmaaogi
Pyar Mujhse Jo Kiya Tumne Toh Kya Paaogi
Kyu Mere Saath Koi Aur Pareshan Rahe
Meri Duniya Hai Jo Veeran Toh Veeraan Rahe
Zindagi Ka Ye Safar Tumpe Toh Aasaan Rahe
Hum Safar Mujhko Banaogi Toh Pachhtaogi
Pyar Mujhse Jo Kiya Tumne Toh Kya Paaogi
Ek Mein Kya Abhi Aayenge Deewane Kitney
Abhi Gunjengey Mahobatt K Taraney Kitney
Zindagi Tumko Sunayegi Fasaane Kitney
Kyu Samjhti Ho Mujhe Bhul Nahi Paaogi Lovely
Pyar Mujhse Jo Kiya Tumne Toh Kya Paaogi
Pyar Mujhse Jo Kiya Tumne Toh Kya Paaogi
Mere Haalaat Ki Aandhi Mein Bikhar Jaaogi
Tamanna Phir Machal Jaye
Ager Tum Milne Aajao
Ye Mousam Hi Badal Jaye
Ager Tum Milne Aajao
Mujhe Gum Hay Ki
Mene Zindagi Men Kuch Nahi Paya
Yeh Gum Dil Se Nikal Jaye
Ager Tum Milne Aajao
Nahi Milte Homujhse Tumto Sab Humdard Hay Mery
Zamana Mujhse Jal Jay,Eager Tum Milne Aajao
Ye Duni Bhar Ke Jhgde Ghar Ke Kisse Kaam Ki Baaten
Bala Her Ek Tal Jaye,Ager Tum Milne Aajao
Pyar mei dubey hue qat mei jalata kaise
Tere haathon ke likhe qat mai jalata kaise
Jinko dunia ki nigahon se chhupaye rakha
Jinko ek umr kaleje se lagaye rakha
Deen jinko, jinhe imaan banaye rakha
Tere khushboo mei basey qat mai jalata kaise...
Jinka har lafz mujhe yaad pani ki tarah
Yaad the mujhko jo paigam-e-zubani ki tarah
Mujhko pyare the jo anmol nishani ki tarah
Tere khushboo mei basey qat mai jalata kaise...
Tune dunia ki nigahon se jo bachkar likhe
Saal-ha-saal mere naam barabar likhe
Kabhi din mei to kabhi raat ko uthkar likhe
Tere khushboo mei basey qat mai jalata kaise
Pyar mei dubey hue qat mei jalata kaise
Tere haathon ke likhe qat mai jalata kaise
Tere qat aaj mai ganga mei baha doon
Tere qat aaj mai ganga mei baha doon
Aag behte hue pani mei laga doon.