Chupkay CHUPKAY JAL JATTE Hain log muhabbat kerne walay Purwa sang nikal jatte hain log muhabbat kerne walay Aankhon aankhon chal perte hain taaron ki qandeel liye Chaand k saath hi dhal jatte hain log muhabbat kerne walay
Dil mein phool khilla dete hain log muhabbat kerne walay Aag mein raag jaga dete hain log muhabbat kerne walay Pani beech batasha surat kudh tu ghultay rehte hain Nim ko shehad bana dete hain log muhabbat kerne walay
Khawab khushi k boo jatte hain log muhabbat kerne walay Zakham dillon k dho jatte hain log muhabbat kerne walay Titli Titli lehrate hain pholon ki umeed liye Ek din khushbo ho jatte hain log muhabbat kerne walay
Ban jatte hain naqsh wafa ka log muhabbat kerne walay Jhonka hain be_chain hawa ka log muhabbat kerne walay Jalli hoi dherti pe jesse badal ghir ker aayin Basti per hain Fazal KHUDA ka log muhabbat kerne walay