Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge K Lakh Chaho Na Hans Sako Ge Hazar Chaho Na Ro Sako Ge K Khuwab Kia Hain, Azab Hain Ye Mere Dukhon Ki Kitab Hain Ye Rafaqtain In Main Choteti Hain Mohabbatain In Main Rothti Hain Pinapti Hain In Main Wehshatain Si Aziatain In Main Photeti Hain Inhein K Dar Se Khizan Hain Jazbe Inhein Se Shakhain Si Toteti Hain Ghamon Ki Bandish Hain Khuwab Mere Dukhon Ki Barish Hain Khuwab Mere Ubal Raha Hai Dukhon Ka Lawa Rahen-E-Atish Hain Khuwab Mere Khial Sare Jhulas Gai Hain Sulagti Khuwahish Hain Khuwab Mere Ukharti Sansain Hain Zindagi Ki Laho Ki Sazish Hain Khuwab Mere Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge