wo jinki zaat maiN pinhaaN mizaaj hain kaisay na-janay hum peh mehr'baan aaj haiN kaisay shabana rooz musafat keh baad raaz khulla hamaray peroon maiN khiltay khiraaj haiN kaisay wo jinki sooch main shabnam si khud-numaii thi najanay aaj gurezaaN mizaaj haiN kaisay
neele neele aasmaa me tu hai, naazo si kaliyon me tu hai, dharti ki halchal me tu hai, jeevan ke har pal me tu hai, hey ishwar tu jaane yahaan kya hai kiska shikhar
sooraj ki garmi me tu hai, hawaayon ki narmi me tu hai, behate huye jharno me tu hai, panchhi ki udaano me tu hai, haan sab dhoondhte hain yahaan apna apna shikhar, hey ishwar tu jaane yahaan kya hai kiska shikhar.
anand ki har saans tu hai, pal pal ki ik aas tu hai, sab door hai paas tu hai, jag dhoop hai chhanv tu hai, hum pehchaane kaise niraakaar tera shikhar, hey ishwar tu jaane yahaan kya hai kiska shikhar. hey ishwar tu hai sabki raahon ka saccha shikhar