Hum Kaise Pagal Hotey Thay" Aik Phool Ko Chunay Ke Khaatir Kaantoan Say Zakhmee Hotey Thay Jo Phool Jhooli Main Aa Girtaa Ussay Chunay Say Dar Jaatey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay Kay Dhundalay Aaino Main Apna Hum Aks Sa Dhoonda Kartey Thay Aur Kirchiyaan Chataktay Aaino Ki Muthi Main Daba Kar Rakhtey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay Jab Sarak Per Chalna Hota Tha Hum Kashti Lay Kar Chaltey Thay Aur Beech Bawar Janay Ke Liye Hum Pedal Nikla Kartey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay Jab Barish Barsa Karti Thi Hum Chatri Main Chhup Jaatey Thay Aur Jalti Dhoop Main Nanggay Sir Hum Chhut Per Uchla Kartey Thay Hum Kaise Pagal Hotey Thay Jab Pass Bohat Wo Hota Tha
Hum Us Ko Dekh Na Saktey Thay Jab Dur Chala Jata Tha Wo Hum Ahhat Us Ki Suntey Thay Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Jab Sari Duniya Soti Thi Hum Chand Say Khaila Kartey Thay Jab Sari Duniya Jaag Uthi Hum Phir Thak Kar So Jatay Thay
Hum Kitney Pagal Hotey Thay Hum Kaise Pagal Hotey Thay Hum Aaj Bhi Waise Chanchal Hain Hum Aaj Bhi Waise Pagal Hain