Yeh Kaisa Khel Hay Taqdeer Ki Bay Naam Bazi Ka K Jo Haray , so Haaray Hein Magar Jo Jeet Jaatay Hein Unhein Bhi Ik Nayi Uljhan Ki Daldal Gher Layti Hay K Ik Mushkil K Baad Ik aor Mushkil Gher Layti Hay
Samajhnay K Liyay Ayein , Chalayein Hum Farz Kartay Hein ! " Kisi Lamhay Kisi Ik Shakhs Ko Paana Hamari Zindagi Say Bhi Zyada Baysh Qeemat Tha Hum Us Ki Arzo Mein Sari Duniya Bhol Bethay Thay Bus us Ka Naam Laytay Thay, usi Ko Yaad Kartay Thay Usi Ki Dhun Mein Jeetay Thay Usi K Ghum Mein Martay Thay.
Tu Phir Yun Huwa Ik Roz Us Ko Paa Liya Hum Nay, Usay Rangoo'n Ki Doli Mein Bitha Kar Ghar Mein Lay Ayay Tasawar Ki Har Ik Khushbo Gul-e-Manzar Mein Lay Ayay"
Kahani Agay Chalti Hay ! " Tu Hota Is Tarah Hay , Zindagi Kay Karkhanay mein Dino'n K Aanay jaanay mein Jahan Kay Un Ginat Kamoo'n Ka chakar Chalnay Lagta Hay Badan Thakta Hay Aankhayein Dair Tuk Baydar Rehnay Say Sulagti Hein Zuba'n Ik Tajirana Aor Musalsal Jhoot Ki Takraar Say Uktanay Lagti hay Magar Majboor Hoti Hay K Duniya Ka Dabaoo Us Ko Ruknay Hi Nahin Dayta Koi Bay Kar Sa Qisa Woh Phir Duhranay lagti Hay Thakan Aor Neend Ki Milti Hadoo'n Mein , Sard Bistar Par Sehar Say Raat Tuk Ki Bay Nateeja Guftugoo Yaad Aanay lagti Hay Tu us Lamhay Woh Umroon Ki Riyazat Ka Samar, Woh Gohar-e-Yaqta Usi Shikno'n Bharay Bistar Kay Ik Hisay Mein Hota Hay Magar Mehsoos Hota Hay K Jaisay Woh Hazaroo'n Meel Ki Doori Pay Rehta Hay Isi Doori Kay Sehra Mein Kai Raatayein Bhikharti hein Kai Din Foot Hotay Hein
Tu Phir Ik Din Kisi Bay Naam Say Ehsaas Ki Ahat Hamaray Hast Ki Khali Gali Mein Gonjti Hay Aor Humein Baydar Karti hay , Bataati Hay K Hum Jis Ghar Mein Rehtay Hein Wahan Kuch Khubsoorat Khwab Bhi Abaad Hotay Thay"
Chalayein Hum Farz Kartay Hein Yeh Sub Ik Kahani Hay , Magar Kitni Purani Hay!