wafa k zikr mein ghalib mujhe gumaan hua wo dard ishq wafaon ko kho chuka hoga jo mere saath mohabbat mein had-e-junoon tak tha wo khud ko waqt k paani se dho chuka hoga meri awaaz ko jo saaz kaha karta tha meri aahon ko yaad kar k so chuka hoga wo mera pyaar,talab or mera chain-o-qarar jafa ki hadd mein zamanay ka ho chuka hoga tum uski raah na dekho wo ghair tha saaqi bhula do usko wo ghairon ka ho chuka hoga
mohabbat kar to len lekin wafa hai shart chahat ki zara mujhko bata jana k is dor-e-khudgarzi mein wafa ab kon karta hai? wafa kaanton ka rasta hai to kaanton pe chalega kon? wafa hai khel aatish ka to aatish mein jalay ga kon? wafa hai maut ka soda yahan baichay ga saansein kon? wafa hai rat-jaga mosam yahan jagay ga raatein kon wafa khud ko mitana hai yahan khud ko mitaye kon? wafa sub kuch lutana hai yahan khud ko lutaye kon?????