114} Barsat ki har boond mei samaye ho tum, har dil mei khas jagah banaye ho tum, yu toh hamdard ki kami nahi, par na jane aaj bahut yaad arahei ho tum. . .!!!
113} Hamare pyar ko na dil se juda karna, zindagi mei na kabhi yeh gunah karna, kuch pal chahe beet jaye tumse baat kiye bina, zindagi na beet jaye dua karna. . .!!!
112} Woh karib hi na aye toh izhaar kya karte, khud bane nishana toh shikaar kya karte, mar gaye par khuli rahei aankhein, is se jyada kisi ka intezaar kya karte. . .!!!
111} Aankhe thak gayi yaar k intezaar mei, waqt ne luta humko bhare bazaar mei, kyun nahi aye woh humse milne, humme kami thi ya hamare pyar mei. . . .!!!
110} EK LAFZ MEI KYA TARIF KARU AAPKI, AAP LAFZO MEI KAISE SAMA PAOGE, BAS ITNI JAAN LO KE JAB LOG DOSTI KE BAARE MEI PUCHENGE TO MERI AANKHON MEI SIRF AAP NAZAR AAOGE. . .!!!
109} zindagi se sabhi ko mohabbat hai, par zindagi kisi ki mehbooba nahi banti, tamanna lekar jeete hain sab log, magar har tamanna taqdeer nahi banti. . .!!!
108} Ek kasak dil ki dil mein dabi reh gayi, zindagi mei aapki, kami reh gayi, itni ulfat k baad bhi woh mujhe na mile, shayad meri dosti mei hi kuch kami reh gayi. . .!!!
107} Yadon ko teri hum saath rakhte hai, har pal tum par nisar karte hai, fursat mile toh likh bhejna kuch hamei, hum toh aapke email ka intezar karte hai. . .!!!
106} Lafzo ki tarah mujhse kitabo mei milna, tu banke mehak mujhse gulabo mei milna, jab b mujhe teri yaad aye, to banake ansu meri ankho mei milna. . .!!!
110} EK LAFZ MEI KYA TARIF KARU AAPKI, AAP LAFZO MEI KAISE SAMA PAOGE, BAS ITNI JAAN LO KE JAB LOG DOSTI KE BAARE MEI PUCHENGE TO MERI AANKHON MEI SIRF AAP NAZAR AAOGE. . .!!!
109} zindagi se sabhi ko mohabbat hai, par zindagi kisi ki mehbooba nahi banti, tamanna lekar jeete hain sab log, magar har tamanna taqdeer nahi banti. . .!!!
108} Ek kasak dil ki dil mein dabi reh gayi, zindagi mei aapki, kami reh gayi, itni ulfat k baad bhi woh mujhe na mile, shayad meri dosti mei hi kuch kami reh gayi. . .!!!
107} Yadon ko teri hum saath rakhte hai, har pal tum par nisar karte hai, fursat mile toh likh bhejna kuch hamei, hum toh aapke email ka intezar karte hai. . .!!!
106} Lafzo ki tarah mujhse kitabo mei milna, tu banke mehak mujhse gulabo mei milna, jab b mujhe teri yaad aye, to banake ansu meri ankho mei milna. . .!!!
105} DOSTI BANI RAHEI HAMARI ZINDAGI BHAR,UMEED HAI AITRAZ NA HONGA MERE IS YAKEEN PAR,JAB BHI HO TUMEI DOST KI ZARURAT,MAIN HOON BUS EK YAAD KI DOORI PAR. . .!!!
104} kabhi phool kabhi hawa banake chu jayenge, hum to mar ke bhi saath nibha jayenge, kabhi tanhai mei yaad karna humei, hasi banke hothon pe khil jayenge. . . .!!!
103} kabhi kabhi sapne chur ho jate hai, haalat se dost bhi dur ho jate hai, par yeh yaadien kambakt itna satati hai ki, tume yaad karne ko hum majbur ho jate hai. . .!!!
102} Aaj nahi toh kal dosti pe aitbar hoga, pathar ka dil ko bhi mom ka pyar hoga... Ja mere sms mere dost ko mil. . . Usko mere msg ka intezaar hoga . . .!!!
101} Bahut chaha magar unhe bhula na sake, khayalo mei kisi aur ko la na sake, usko dekh k ansu toh ponch liye, par kisi aur ko dekh k muskara na sake. . . !!!
100} DIN BEET JATE HAI SUHANI YADEIN DE KAR, BAAT REH JATI HAI KAHANI BANKAR, PAR AAP TOH HAMESHA DIL KE KARIB REHENGE KABI MUSKAAN TOH KABHI ANKHO KA PANI BANKAR . . . .!!!
99} Hothon pe khushi par ankho mei nami hai, mere cell mei jaise apke msg ki kami hai, apke paigam k intezar mei meri sanse thami hai khafa ho humse, ya balance ki kami hai. . . !!!
98} Bhook kar tum ko jayenge kagan, ek pal zameen par reh payenge kahan, tumse hi muskurahat hai meri zindagi mei, bina tere hum muskurenge kahan. . . !!!
97} Meri halat tum samajh nahi pate, hum bi tumse kuch keh nahi pate, aye khuda yeh kaisa "DOST" de diya tune, jisko yaad kiya bina hum reh nahi pate. . . !!!
96} Humne jise chaha usne hamei pyar nadiya, jisne hamei pyar kiya hamne use dil na diya, kya kare maut ne hamei jeene diya aur zindagi ne hamei maar diya. . . !!!
95} KHOOB SURAT HAI YEH HASI TUMHARI BANA DIJIYE INHE KISMAT HAMARI, AUR KYA CHAHIYE UNHE JEENE KE LIYE, JINHE MILLI HO DUNIYA MEI DOSTI TUMHARI . . .!!!
94} Pyar kamjor dil se kiya nahi ja sakta, zeher dushman se liya nahi ja sakta, dil mein basi hai ulfat jis pyar ki, us ke bina jiya nahi ja sakta. . . !!!
93} kabhi koi apna anjan ho jata hai, kabhi kisi anjan se pyar ho jata hai yeh jaruri nahi k jo khushi de usi se pyar ho, dil todne walon se bi aksar pyar ho jata. . .!!!
92} Kareeb koi gam apke aye na. Waqt apko kabhi rulaye na, bhara rahe khusiyon se daman apka, khuda yeh meri aarzu thukraye na. . .!!!
91} kareeb se tujhe dekha toh apna paya, jab tujhe dosti mei azmaya toh apna paya, tujhe kya naam dun samajh mei nahi aya. Dost. . . . !! Meri zindagi ya mera saaya. . . .!!!
90} ISHQ PAANE KI TAMANNA MEI KABHI - KABHI ZINDAGI KHILONA BANKAR REH JATI HAI, JISE DIL MEI BASANA CHAHTE HAI, WOH SURAT SIRF YAAD BANKAR REH JATI HAI. . . !!!
89} Mana bhool jana apki fitrat hi sahi, magar humei bhul pana apki kismat main nahi, chaho toh azma kar dekh lo, khud ko bhul jaaoge par humei bhul nahi paoge. . .!!!
88} Milte hai ache dost sirf khush nasibo ko, hamari kismat se jalna chod do, agar tamanna ho mil ne ki hamare dost se, toh bas apni nazar aaine ki aur mod do. . .!!!
87} Meri kisi khata pe naraz na hona, apni pyar si muskan kabhi na khona, sukoon milta hai sun kar aapki hansi ko, hanste rehna zindagi mei udaas kabi na hona . . .!!!
86} Mujhe se itna rishta toh banaye rakhna meri pyar dil mei basaye rakhna waqt ko koi baandh nahi sakta, par is pyar ko palkon mei sajaaye rakhna . . . .!!!
85} Unhe toh phursat nahi milney ki humse, aur hamara waqt gujrata hai unki fariyaad karke, agar aye woh meri maut pe to keh dena, abi soye hain tumhe yaad karke. . . . .!!!
84} Kisi ki nazar mei tera didar aaj bi hai, kisi ke dil mei teri dhadkan aaj bi hai, agar zindagi se ho shikayat to yaad karna kisi ki zindagi mei teri kami aaj bhi nahi . . . .!!!
83} Pani par naam kabhi likhte nahi, pani pe likhe naam kabi tikte nahi, log kehte hai hum pathar dil hai, par pathar pe likhe naam kabi mit te nahi. . . . . .!!!
82} Reshmi si nigaho mei khwab hum jag denge, suni si raho mei phool hum bicha denge, hamare sang muskurakar toh dekhiye hum apko har gam bhula denge . . . . . .!!!
81} khubiyan itni to nahi hum mein, ki aap ke dil mein hum ghar bana payenge, par bhul na bi aasaan na hoga hamei, aisa jaroor kuch toh karenge . . . . .!!!
80} IS ZAMANE SE BAHUT ALAG HO AAP, WOH KHUSH KISMAT HAI JISKE PAAS HO AAP, HAMARE LIYE WOH WAQT HI HASEEN HAI, JAB HAMEI YAAD KARKE DIL SE MUSKURATE HO AAP . . . .!!!
79} Zubaan se naam lete hai, ankhon se aansu chalak jate hai, kabhi najane kitni mulkatein kiya karte the, aaj ek mulakat ke liya taras jaate hai. . . .!!!
78} Naino mei base hai zara khayal rakhna, kisi kaam se hi sahi par yaad karna, mujhe to aadat hai apko yaad karna ki, agar hichkiyan zyada aye toh maaf karna. . . .!!!
77} Zindagi uske bin adhuri hai na jane kyun ... ...uske mere beech yeh doori hai sochti hun kabhi bhool dun usko par uski ek muskaan meri kamzoori hai. . . . .!!!!
** 76} puchho us kagaz se jispe hum dil ke bayan likhte hain, tanhayaion mei beeti baaten tamam likhte hain, woh qalam bhi diwani ho gayi, jisse hum apka naam likte hai . . . .!!!!
**75} DOSTI MEI AZMAISH HOTI HAI, DIL MEI MILNE KI KHWAISH HOTI HAI, APKO HUM YAAD NAHI KARENGE HAR PAL, YAAD UNHE KARTA HAI JINHE BHOOL JANE KI GUNJAISH HOTI HAI. . . . . .!!!!
74} Aaj hum hai, kal hamari yaadein hongi, jab hum na honge, tab hamari baat hongi, kabi paltoge zindagi k yeh paane to shayad apki ankhon se b barsaaten hongi. . . . . . . .!!!
73} Nakaam mohabbat ka bhi afsana hoga, mere dewangi ka gawah yeh zamana hoga, apni doli se dekh lena, zalim, tere shaadi se bhi sundar mera janaza hoga. . . . . .!!!
72} Kashish dil ki har cheez bhula deti hai, band ankhon mei bhi sapna saja deti hai, sapno ki duniya jarur rakhna, kyunki hakikat toh aksar rula deti hai. . . . .!!!
71} Kash yeh zalim judai na hoti, rabha tune yeh cheez banai na hoti, na hum unse milte na pyar unse hota, zindagi jo apni thi woh parai na hoti . . . . . . . .!!!
70} sari umer apko pyar mile, jo dil mei hai woh hazaar baar mile, bichad jate hain milne k baad bi kuch log, janam janam na bichde aisa aapko pyar mile. . . .!!!
69} Na chupana koi baat dil mei ho agar, rakhna thoda, bharosa aap hum par, hum nibhaenge dosti ka rishta is kadar ki bhulane par bhi na bhula paoge hume zindagi bhar. . . .!!!
68} Yadon ki teri hum pyar karte hain, jaan bhi tum par nisar karte haim, fursat mile to kuch likh bhejna mere yaar. Sirf ek aapke hi toh sms ka hum intezar karte hain.. . . .!!!
67} Raat ke andhero ko khud mei sama jane bhi do, kal ke kamo ko kal tak thaher jane bi do, so jao ab, kuch pyare sapna ko ankho mei aa jane bhi do. . . . .!!!
66} Behte ashko ki zuban nahi hoti, lafzo mei mohabbat bayan nahi hoti, mili hai dosti hamari isko nibhana, kismat yuhi hamesha meherban nahi hoti . . .!!!
68} Yadon ki teri hum pyar karte hain, jaan bhi tum par nisar karte haim, fursat mile to kuch likh bhejna mere yaar. Sirf ek aapke hi toh sms ka hum intezar karte hain.. . . .!!!
67} Raat ke andhero ko khud mei sama jane bhi do, kal ke kamo ko kal tak thaher jane bi do, so jao ab, kuch pyare sapna ko ankho mei aa jane bhi do. . . . .!!!
66} Behte ashko ki zuban nahi hoti, lafzo mei mohabbat bayan nahi hoti, mili hai dosti hamari isko nibhana, kismat yuhi hamesha meherban nahi hoti . . .!!!
65} WOH DEKHO SURAJ KI LALI. . . . . CHARO TARAF FIZA MEI CHAI HAI HARYALI . . . . . . HAR CHEHRE PE LEHRA RAHI HAI KUSHALI-PIYO GRAM CHAE KI PYALI AUR BOLO "" GUD MRNG JANEBEAALI "" . . . . .!!!
64} Saans lene se teri yaad ati hai, na lene se mere jaan jati hai, kaise keh doon sirf saans se main zinda hoon, qambakt saans bhi to teri yaad ke baad ati hai. . . .!!!
63} Guzar gaye woh chaman se bahar ki tarah, ankhon mei bas gaye hai intezar ki tarah, kaise bhula de unhe hum apni yaadon se unhone inkaar bhi kiya izhaar ki tarah. . . . . . ! ! !
62} Bichadne wale ko yaad mei kya doge, sote hue ko khawab mei kya doge, hum chahte hai umar bhar saat ka wada, kaho is sawal ka jawab kya doge . . . . .! ! ! !
61} Mahek teri aaj bhi meri saanso mei hai, har ek adaa teri meri ankho mei hai, tu bhale mitade aapne dilse mere wajud, magar teri jagah aaj bhi meri dhadkan mei hai. . . . . . .! ! !
60} vishwas rakhna meri dosti par, hum akhir tak dosti nibhayenge, zarurat padi agar dosti mei imtihan dene ki, to tum exam dena hum chit dene aayenge . . . .!!!
59} khusbu mei ehsas hota hai, dosti ka rishta khaas hota hai, har baat ko zuban se kehna mumkin nahi, isliye dosti ka naam vishwas hota hai . . . .!!!
58} Humne bhi kisi se pyar kiya hai raahon mei khade intezar kiya hai, bhool unki nahi. . . Bhool hamari hai, kyunki unhone humse nahi hum ne unse pyar kiya hai . . . . .!!!
57} Yeh pyari nigahe yaad rahegi, milkar na milne ki ada yaad rahegi, mumkin hai mere baad tum mujhe bhula do, lekin umar bhar tumhe meri dosti yaad rahegi. . . . .!!!
56} Dil jeetlo woh jigar hum b rakhte hai, katl kar de woh nazar hum b rakhte hai, wada kiya hai kisi ko hamesha muskrane ka, warna ankho mei samandar hum b rakhte hai. . . . .!!!
55} Nigahon ki juban "woh" samajh nahi pate, honth ye magar kuch kahe nahi pate, koi kaise byan kare DIL ki bebsi ko, "koi" hai jiske bina hum rahei nahi pate. . . !!!
54} Shikhayat hai tumse par bol nahi sakte bahut dard chupa hai dil me. . . Lakin dikha nahi sakte, reply bina rahe lenge hum magar apko yaad kiye bina rahe nahi sakte . . . .!!!
53} Mulakat maut ki mehman ho gayi hai, nazar ki duniya veeran ho gai hai, ab meri saans bhi meri nahi rahi. . . Yeh zindagi apki chahat par kurban ho gai hai . . . .!!!
52} Yaad ane wale yaad aae ja rahei hai, mere khayalo ki duniya par chae ja rahe hai, hum kuch keh rahei hai par woh chup hai bas mera sm padh kar muskurae ja rahe hai. . .!!!
51} kabhi na shikayat ki baat labon pe layenge, kaha hai dost to dosti nibhayenge, kabhi hamari burai hamare samne karna, kasam khuda ki apki haan mei haan milayenge . . . .!!!
50.Sukun apne dilka maine kho diya,
Khud ko tanhai ke samandar mei dubo diya,
Jo thi mere kabhi muskrane ki wajah,
Aaj uski kami ne meri palko ko bhigo diya…
49.Naraaz hona aapse galti kehlayengi,
Aap hue naraaz toh yeh saase tham jayengi,
Aap haste rahe uhi zindagi bhar,
Aapki hasi se hamari zindagi sawar jayengi…
48.Zindagi lehar ti aap sahil hue,
Na jaane kaise hum aapki dosti k qabil hue,
Na bhulenge hum us haseen pal ko,
Jab aap hamari choti si zindagi mei shamil hue…
47.Tamanna karte ho jin khushiyon ki,
Dua hai woh khushiya aapke kadmo mei ho,
Khuda aapko woh sab haqiqat mei de,
Jo kuch aapke sapno mei ho …
46.Humse pucho kya hota hai pal pal bitana,
Bahut mushkil hota hai dil ko samjana,
Yaar zindagi toh beet jayegi,
Bus mushkil hota hai kuch logo ko bhul pana…
45.Na dil mei basakar bhulaya karte hai,
Na hasakar rulaya karte hai,
Kabhi mehsoos kar k dekh lena,
Hum jaise toh dil se rishte nibhaya karte hai…
44.Pyar kya hota hai hum nahi jante,
Zindagi ko hum apna nahi mante,
Gum itne mile ke ehsaas nahi hota,
Koi humei pyar kare ab vishwas nahi hota…
43.Khush nasib hote hai badal,
Jo dur rehkar bhi zameen par baraste hai,
Aur ek badnasib hum hai,
Jo ek hi duniya mei rehkar bhi,
Milne ko taraste hai…
42.Gum mei hasne walo ko rulaya nahi jata,
Lehron ko pani se milaya nahi jata,
Hone wale khud hi apne ho jate hai,
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata…
41.Tere mere rishte ko kya naam du,
Yeh naam du ya woh naam du,
Is duniya ki bhid mei naam ho jate hai badnaam,
Kyun na apne rishte ko benaam hi rehne du…
40.Zindagi milti hai himmat walo ko,
Khushi milti hai taqdir wale ko,
Pyar milta hai dilwalo ko,
Aur aap jaisa DOST milta hai,
Hum jaisa nasib wale ko…
39.Log kehte hai tum kyun apni mohabbat ka izhaar unse nahi karte ?
Maine kaha- jo lafzo mei bayan ho jaye,
sirf utna pyar hum unse nahi karte….
38.Kashish toh bahut hai mere pyar mei,
Lekin koi hai pathar dil jo pigalta nahi,
Agar mile khuda to mangungi usko,
Suna hai khuda marne se pehli milte nahi…
37.Phir vahi din hoga,
phir vahi raat hogi,
lekin na jaane phir kab mulakat hogi,
magar karte rehna sms tabhi to dil se dil ke baat hogi…
36.Dost teri dosti pe naaz karte hai,
Har waqt milne ki fariyaad karte hai,
Hamei nahi pata, gharwale batate hai,
Ke hum neend mei bhi aapse baat karte hai…
35.Hichkiya kyon mujhe aane lagi hai,
Fizaon se bhi siskiya aane lagi hai,
Yeh sochkar dil hai bahut khush,
Ki yaad meri bhi kisi ko aane lagi hai
34.Na jane saloon baad kaisa sama hoga,
Hum sab doston mei se kaun kaha hoga,
Phir agar milna hoga to milenge khwabo mei,
Jaise sukhe gulab milte hai kitabo mei…
33.Aaj har ek pal khoobsurath hai,
Dil mei sirf teri surath hai,
Kuch bhi kahe yeh duniya gum nahi,
Duniya se zyada humko teri dosti ki zarurath hai…
32.Faasle milta kar aapas mei pyar rakhna,
Dosti ka rishta yun hi barkar rakhna,
Malum hai dost bahut hai aapke,
Par unke beech apni iss parchayee ka khayal rakhna…
31.Dhadkan hamari tumse jo kahe,
Sanso ko bhi uski khabar na lage,
Bahut khubsurat hai yeh dosti ka rishta hamara,
Dua hai iss se kisiki nazar na lage…
30.Chahte hai hum aapko kithna yeh bataye kaise,
Dosti aapki aapse chupaye kaise,
Asmaan se bhi unchi hai apni dosti,
Is chote se SMS mei aapko samjaye kaise…
29.Mil jate hai kitno ko khushi,
Mit jate hai kitno ke gum,
Message isliye bhejte hai hum,
Taki na milne se bhi apni dosti na ho kam…
28.Kyun aapki khamoshi mujhe khamosh kar jati hai,
Kyun aapki udaashi mujhe udash kar jati hai,
Kya rishta hai mera aur aapka,
Jo har pal aapki yaad aa jati hai…
27.Gujarish hamari woh maan na sake,
Majburi hamari woh jaan na sake,
Kehte hai marne k baad bhi yaad rakhenge,
Jeete ji jo hamei pehchan na sake…
26.Kabhi hasa dete ho, kabhi rula dete ho,
Kabhi kabhi neend se jaga dete ho,
Magar jab bhi dil se yaad karte ho,
Kasam se zindagi ka ek pal badha dete ...
25.Nazaron ko nazare ki kami nahi hoti,
Baharo ko phool ki kami nahi hoti,
Aap hamei kyun yaad karenge aap toh asman hai,
Aur asman ko sitaro ki kami nahi hoti…
24.Saari duniya ki muskan tere paas hai,
Yeh zamin aur asman tere paas hai,
Gam na karna ki tujhe yaad nahi karte,
Aye dost meri toh jaan tere paas hai…
23.Tum banke dost aise aaye zindagi mei,
Ke hum yeh zamana hi bhul gaye,
Tumhe yaad aaye na aaye hamari kabhi,
Par hum toh tere bagair jeena hi bhul gaye…
22.Ek jasie dost sare nahi hote,
Kuch hamare ho kar hamare nahi hote,
Aap se dosti karne ke baad mehsus hua,
Kaun kehta hai "taare zamin par” nahi hote…
21.Takdir ne chaha, Takdir ne bataya,
Takdir ne aapko aur humko milaya,
Khushnasib the hum ya woh pal,
Jab aap jaisa anmol dost hamari zindagi mei aaye…
20.Rulana har kisi ko aata hai,
Hasana kisi kisi ko aata hai,
Rula ke jo mana le who sacha yaar hai,
Aur jo rula ke khud bhi aansu bahaye,
Woh sacha pyar hai……….
19.Ek din jab hum duniya se chale jayenge,
Math sochna aapko bhul jayenge,
Bas ek baar aasman ki taraf dhekh lena,
Mere aansoo barish banke baras jayenge….
18.Khamosh raat ki pehhlu mein sitare na hote,
In rookhi aankhon mein rangeen najare naa hote,
Hum bhi na karte parwa aap ki,
Agar aap itne pyare na hote…
17.Tazi hawa mei phulo ki mahak ho,
Pehli kiran mei chidiyo ki chahk ho,
Jab bhi kholo aap apni palke,
Un palko mei bus khushiyo ki zalak ho…
16.Taqdir likhne wale ek ehsan karde,
Mere dost ki taqdir mei ek aur muskan likhde,
Na mile kabi dard unko,
Tu chahe to uski kismet mei meri jaan likhde…
15.Hum kabhi apno se khafa ho nahi sakte,
Pyar ke rishte bewafa ho nahi sakte,
Aap bhale hamei bhulke so jao,
Hum aapko yaad kiye bina reh nahi sakte…
14.Humse pucho kya hota hai pal pal bitana,
Bahut mushkil hota hai dil ko samjana,
Yaar zindagi tih beet jayengi,
Bus mushkil hota hai kuch logo ko bhul pana…
13.Mushkilon mei jeena nahi chahate,
Door tumse ho kar ab rehna nahi chahate,
Yun toh dost bahut bane is zindagi mei par,
Aap jasie dost ko khona nahi chahate…
12.Yaaadon mei hamari woh bhi khoye honge,
Khuli aankhon se kabhi woh bhi soye honge,
Mana hasna hai aada gam chupane ki,
Par haste haste kabhi woh bhi roye honge…
11.Chandse jab mulakat hoti hai,
Aap logon k baare mei baat hoti hai,
Woh kahte hai mere paas khubsurat sitare hai,
Hum kahte hai unse bhi khubsurat pyaar hamara hai…
10.Shaam ki tanhai mei kho jana,
Kisi ki masti mei doob na jana,
Milengi zarur kal manzil tumhei,
Apni manzil ko pakar is jaan kobhul na jana…
9.Jis din band kar li humne ankhe,
Kai ankho se us din aansu barsenge,
Jo kehte hai k bahut tang karte hai hum,
Wahi hamari ek shararat ko tarsenge…
8.Koshish toh kijiye humse yaad karne ki,
Lamhe toh apne aap hi mil jayenge,
Tamana toh kijiye humse milne ki,
Bahane toh apne aap hi mil jayenge….
7.Mat pucho humse ki tumhe kitna yaad kiya karte hai,
Aapke SMS k intezaar mei hi jiya karte hai,
Agar na aye kabhi msg tumhare toh,
Purana hi pad k muskura liya karte hai…
6.Sabke chehre mei woh baat nahi hoti,
Thode se andhere mei raat nahi hoti,
Zindagi mei kuch log bahut pyare hote hai,
Kya kare unhi se aaj kal mulakat nahi hoti…
5.Chote se dil mei arman koi rakhna,
Duniya ki bhid mei pehchan koi rakhna,
Achhe nahi lagte jab rehte ho udas,
Apne hoto pe sada muskaan wahi rakhna…
4.Hawaonke bina fiza mei surur na hota,
Chandani ko bhi chand ke bina gurur na hota,
Aap jaisa dost agar na hota toh,
Dil bhi SMS karne ko majbur na hota…
3.Hum chand hai to tum uski roshni ho,
Hum phool hai toh tum uski khushbu ho,
Chodenge na kabhi saath tera kyunki,
Hum dost hai toh tum dosti ki mehak ho…
2.Rishta banaya hai toh nibhayenge,
Har pal aapko hasayenge - satayenge,
Pata hai aapko toh fursat nahi hai yaad karne ki,
Hum hi msg kar kar ke apni yaad dilayenge…
1.Kisi k deedar mei tadapta hai yeh dil,
Kisi k intezar mei tarasta hai yeh dil,
Kya kamaal ka hai yeh dil,
Khud apna ho kar bhi kisi aur ke liye dhadakta hai yeh dil…