Apne Haathon ki Lakeeron mai Basa le Mujh ko Mai hoon Tera to, Naseeb apna bana le Mujh ko Mai jo Kaanta hoon to, chal Mujh se bacha ker Daman Mai hon agar Phool, to Jorey mai saja le Mujh ko Mai khule Darr k kisi Ghar ka hoon Samaan, Pyare! Tu dabey Paaon kabi aake Chura le Mujh ko Mujh se Tu puchne aaya hai Wafa k Ma'ani Ye Teri Sada-Dili na Maar dale Mujh ko Mai Samandar b hoon, Moti b hoon, Gota-zann b Koi b Naam le ke Bula le Mujh ko Khood ko Mai Baant na daloon kahin, Daman Daman Kardia Tu ne jo Agar Mere hawale Mujh ko Bada phir Bada hai, Mai Zehar b p jaaon 'shah' Shart ye hai k koi Baahon mai sanbhale Mujh ko
jab kabhi galti se, kisi se pyaar ho jata hai hasne ke saath saath... dil ro bhi pata hai ansuo pe ansu.. muskan ke saath bhi aansu... kisi aur ko phir kabhi koi kaise banaye janu
jitna ud sakte the, utna to ud liye khushi ke saath saath, gham bhi khud piye usko nahi kubool, to naa sahi hum to zaroor kahenge.. "ishq kiya tha kabhi!"
Hasratein poori karne ka mazaa kuchh aur hai, Teri baahon me marne ka mazaa kuchh aur hai; Peekar to madhosh sab hote hain aksar, Teri aankhon se peene ka mazaa kuchh aur hai; Manzil to paa leta yun to akela main bhi, Par tere saath chalne ka mazaa kuchh aur hai; Hanstey to sab hain mehfilon me humdum, Par rote huye muskuraane ka mazaa kuchh aur hai; Har aarzoo dil ki aaj ufaan par hai yun to, Par kuchh raaz chhupaane ka mazaa kuchh aur hai; Kuchh likh kar tu hamesha bhool jaata hai, Kabhi-Kabhi woh ghazal gun-gunaane ka mazaa kuchh aur hai!
koi khadsha sa rehta hay na janay kioun gumma hay k, ajal awaz daiti hay hamain aghosh ki jannib bulatai hay khabber kia kal talak ki ham yahan hongay, nahi hongay mager jana mohabbat kam nahogi
hamaray saans ki dori agerchay toot bhi jaye, koi kal aajse jana ! agerchay rooth b jaye, mohabbat aaj taaza hay gulaaboun ki tarah jese, hamesha bus younhi hogi suno jana! mohabat kam nahi hogi