Do, pal ruka, khwaabon ka kaarvaan Aur phir, chal diye, tum kahaan, ham kahaan Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan Aur phir, chal diye, tum kahaan, ham kahaan Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan
... Tum the ke thi koyi ujli kiran Tum the ya koyi kali muskaayi thi Tum the ya tha sapnon ka tha saawan Tum the ke khushiyon ki ghata chhaayi thi Tum the ke tha koyi phool khila Tum the ya mila tha mujhe naya jahaan Do pal ruka khwaabon ka kaarvaan Aur phir chal diye tum kahaan ham kahaan Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan
Aa... aa... aa...
Tum the aa khushboo hawaaon mein thi Tum the ya rang saari dishaaon mein the Tum the ya roshni raahon mein thi Tum the ya geet goonje fizaaon mein the Tum the mile ya mili thi manzilein Tum the ke tha jaadoo bhara koyi sama Do pal ruka, khwaabon ka kaarvaan Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan
|