Har insaan paise ke piche daur raha, Ki paise ke siwa uske pas koi baat nahi. Milta hai agar apne mehboob se bhi, Use apne paise ki yaad har waqt rahi. Kho gaya is daur me uska apna bhi koi, Usko is baat ka ehsaash tak nahi.
Tere baghair bhi yeh zindagi Fazool nahi Main jhut baat kahoon yeh mera Asool nahi Tere bhi dil main khalish hai to mujh se mil warna Yeh Bey Khaloos Muhabat mujhe Qabool nahi Qadam to rakha hai lakin yeh soch lo ab bhi Wafa ki rah main kanty Bhi hain sirf Phool nahi Main tere Jazb e Janoon ka yaqeen karoon kasy Ke tere Chahre pe Dasht e Talab ki Dhool nahi Main Arzoon ko seeny main Dafan ker loon gi Sawal kerna kisi se mera Asool nahi Kabhi wo Waqt, Udaasi main Lutf milta hai Kabhi wo Lamha, Khushi bhi koi Qabool nahi Ussy Qareeb se dekha to yeh Pata paya Wo Shookh itna bhi Na k Qabil e Hasool nahi
Bdal gai hai ye zindagi ab sabhi nazarey bdal gaye hain kahin pe moaje'n bdal gai hain kahin kinarey bdal gaye hai bdal gaya hai ab uska lehja ab uski ankhe'n bdal gai hain wo chand chehra hai ab bhi waisa mere sitarey bdal gaye hain mila hun tmse to yun laga hai k jaise donu hi ajnabi hon kabhi jo mjhko aziz-e-jaan they wo rishtey saarey bdal gaye is lye bhi mai sir jhuka kr teri nagri se chal para hun tha naaz jn pr kabhi mje bhi wo sb saharey bdal gaye hain
bdal gai hain ab uski aankhe'n sabhi nazarey bdal gaye hain k
... Read more »
Ik Lumhey Mein Us ney Zindagi Sawar Di Dosrey Lumhey Mein Us ney Zindagi Ujaar Di Qusoor Us ka Nahi Hamara Hey Us Do Lumhon Mein Hum ney Zindagi Guzar Di Saza Dainey Waley Raza Puchtey Hein Jee ney Ki Hum sey Wajah Puchtey Hein Daitey Hein Khud Hi Zaher Hum ko Aa kar Phir Kitna Hua Hey Asar Puchtey Hein.
Ek ajab si paheli hai zindagi, sabke saath hote huye bhi, akeli hai zindagi, kabhi tho ek piyaara sa armaan hai zindagi, to kabhi dard se bharaa tufaan hai zindagi kabhi to gulon se bharaa gulistan hai zindagi, to kabhi kanton se bhaara raasta hai zindagi, kabhi phulon jaisi masoom ho jati hai zindagi, to kubhi gunahon ka bhojh ban jati hai zindagi koi to bataa de mujhe kya hai zindagi ? sunaa hai chand roz ki mehmaan hai zindagi, zindagi ko chhod ek din jaana padegaa, mott ko uss pal galen lagaana paregaa, zindagi se chahe jitnaa piyaar tum kar lo, hoti to aakhir bewafa hai zindagi...