Site menu
Section categories
Calendar
« July 2025 »
Su
Mo
Tu
We
Th
Fr
Sa
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 31
Entries archive
Search
Tag Baord
ShaanSE Poll
Main » !!~ ALONE POETRY ~!!
Aisa nahi K Tujh Se Muhabat Nahi Humain Ghum Roz Roz Sehny ki Aadat Nahi Humain Har Bar Tere Samne Sar Ko Jhoka Liya Aur Phir Bhi Dekh Tujh se Shikayat Nahi Humain Tu Aitebar kar k Tujhe Chahate Hain Hum Tery Siwa Kisi Ki Bhi Chahat Nahi Humain Hum Jante Hain Tum Tanha Nahi Hamary Bin Auron se Pochne ki Zarorat Nahi Humain Kese Rahen Gay Bin Tere Ab Baat Maan lay Tery Bagair Rahene ki ab Aadat Nahi Humain
Duniya ki nazron mein girna mere kis kaam aaya Apno se bichad kar woh bewafa gairon ke kaam aaya. Main bhool chuka tha ki apne hi bewafai karte hain Duniya meri barbaad karke use zara bhi rehem na aaya. Agar woh wafadaar hota to yoon bewafai na karta Mujhe uska intezaar raha, par voh lout kar na aaya. Zindagi to qaafiro ke sang gujar hi jaayegi Par jise dost samjha woh dushmani karne aaya. Qatal hi karna tha toh samne se karta Humdard bankar kyon usne peeth main khanjar chalaya. Dost bana kar fir humse use mujh par pyar na aaya.. Kyon ki bewafaai usne kyon use mujh par pyar na aaya.. Nazro mai uski ab sharm ke cheente hai Ab tanhaai ne sataya toh mere pas chala aaya. Fakat mujhe uski zarurat bhi kya hai ”ISHQ” Ab zanaza mera dekhkar kyon use rona aaya
KUCH TO KAHO *** KUCH TO KAHO *** Kuch To Kaho Koi Taiz Si Baat Koi Khanjar Sa Lehja Mery Naam Kar Do Koi Toota Houa Taara Koi Sookha Houa Phool Bhijwa Do Mujh Ko Koi Jhoota Aansoo Koi Boda Jazba, k Yaroo Kayii Din Beety Kayii Ratein Guzrien Mujhay Kuch Na Mila Main Khaali Bohat Hoon Main Tanhaa Bohat hoon...!!
chand sa chehra..! chand sa chehra us ka.! jab bhi khayalon main ata hai us ki yaad k rat jagay meri tanhaion se yeh khetay hain ay chand se chehray walay tu bhi kabhi roshni kar meray angan main kyun k... meray dareechon ko teri yaad ki andheri ratoon ne ghera hua hai..!
Kabhi Aansoo Kabhi Khushi Dekhi Humne Majboori Aur Bekasi Dekhi Chand Lamhaat Jeene Ke Liye Bechke Apni Zindagi Dekhi Andhere Agar Ghir Aaye Ho Tere Pehloo Mai Raushni Dekhi Teri Naraazgi Ko Kya Samjhein Humne Khud Apni Bebasi Dekhi Hum Kyon Yahan Badnaam Hai Zamaane Ki Humne Dillagi Dekhi Waadon Par Bharosa Abh Kyon Rahe Humne Azeezon Ki Wada-Khilaafi Dekhi Ek Hum Hai Jo Lut Gaye Tanha Varna Duniya Bhar Ki Dosti Dekhi
AGAR WO PYAR KAR LETA MERA DAAMAN PAKAR LETA, TOU JEEWAN ME FAQAT US SE MUHABBAT FARZ HOJATI MUHABBAT QARZ HOJATI MAGAR ACHA KIA US NE , MUJHE SAMJHA K CHAL NIKLA MUJHE TUKHRA K CHAL NIKLA BAHUT NADAAN SA HAI WO ABHI ANJAAN SA HAI WO KAHAN MALOOM HAI USS KO MUHABABAT ZINDAGI ME FAQAT AIK BAAR MILTI HAI AGAR THUKRA K CHAL NIKLEN TOU UMREN BEET JAATI HAIN MUHABAAT KI TAMMANA ME MAGAR HAR IK RAASTE PER SIRF RUSWAAI MILTI HAI FAQAT TANHAI MILTI HAI
har traf har jagah bay shumaar aadmi phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi subah se shaam tak bojh dho tha hua Apni hi laash ka khud mazaar aadmi har taraf bhagte dodte raaste har taraf aadmi ka shikaar aadmi roz jeeta hua roz marta hua har naye din,naya intezaar aadmi zindagi ka mukaddar safar dar safar aakhri saans tak beqraar aadmi aakhri saans tak beqraar aadmi
Dil ki tanhayiyon se zindagi ke raaste nahin kat te, tumhare bina hamari tanha raatein nahin kat te. Tumne to apne dil ko rakh diya hai us shaher mein, Jiske raaste hamari manzil tak nahin pahonjhte. Apne dil ke raaston ko aise band mat karo, kyunki usi ki raah se hamari bhi saansein hai guzarte. Itna rooth kar kaha jaaoge humse, Aap ke raaste to hamari hi manzil par aaker rukte.
Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya… us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya….
lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan… chehra bata raha tha k kuch ganwa diya…
aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi… ...or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya…
jane kya us ko logon sey thein shikayatein… tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya…
khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya…. mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…
Login Here
Welcome to ShaanSE Poetry
ShaanSE Facebook
statistics
Total online: 1
Guests: 1
Users: 0
Members Area
Users who have visited the site today
ShaanSE Facebook
ShaanSE Channel
Dedicated To ShaanSE-1
Dedicated To ShaanSE-2
Search