Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah
Mast Nazron se dekh lenaa tha Agar tamanna thi aazmane ki Hum to behust youn hi ho jaate Kya zaroorat thi muskurane ki
Chehrey Per Banawat Ka Gussa, Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai, Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.
Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai
|
US SAY BICHRA HOON JO MILA BHI NAHI IS BICHARNEY KA KUCH GILA BHI NAHI WO SAMJHTA HAI UN KAHI BATEY IS LIYE MAI NEY KUCH KAHA BHI NAHII US KA MILNA BHI KESA MILNA HAI K WO MILA HAI AUR MILA BHI NAHI KASI MUSHKIL MAI HOON KHUDA JANEY >KEHNAY SONNEY KO KUCH RAHA BHI NAHI
|
na rona tum, mere janaaze ko jaate dekh kar na dena tum sahara kaandhe ka, mujhe jaate dekh kar… darta hoon uth na jaaoon main, gaheri neend se mar na paaoonga chain se, tere kaandhe ka sahara dekh kar…
aaye hain aaj wo mujhe apne kaandhon ka sahara dene jeete jee maar diya, aaye hain ab wahi sahara dene…..
doobta dekh kar bhanvar mein, kar na paaye wo kuch mujhe aaye hain kashti lekar, ahe de wafa ab dhoondne mujhe…
tum gairon ki baat karte ho, humne apne aajmaaye hain log kaan
...
Read more »
|
Jaane ye kaun sa mausam hai Na sardiyon ki dhoop hai Na din yahan par kam hai Na thand ka koi bhi roop hai
Na mitti ki khushbu hai Na bheege yauvan mein hulchul Na baadalon mein guftagu hai Na chai pakodi ka hi koi pal
Dhoop bhi chilchilaati nahi Na chaandni ka koi aalam Na jharnon ki aarzoo kahin Na ye chhuttiyon ka mausam
Sarson bhi nahi dikhte hain Patang asma me ab tak na naacha hai Naye patte bhi kahin na ugte hain Na muskaraata koi bhi raasta hai
Jaane ye kaun sa mausam hai Tum paas hokar bhi itne door ho Har baat shuru hone se pehle khatm hai Kaam ho na ho, masroof ho…
|
Jisne humko chaha, use hum chah na sake, Jisko chaha usae hum pa na sake, Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai, Kisi ka toda aur apna bacha na sake, Ek aur sher sunata hoon——- Manzilein bhi uski thi, raasta bhi uska tha; Ek hum hi akele thei, kafilaa bhi uska tha; saath chalne ki soch bhi uski thee, Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha; aaj akele hain…dil sawaal karta hai… Log to uske the, …kya khuda bhi uska tha????
|
Kosis bhut ki kushi dene ki par de na sake, Kosis bhut ki kush rahne ki par rahe na sake, Mohabbat karne ka aisa sila mila humko yaaro, Jis se mohabbat ki bas wahi samaj na saki, Kahti thi ki bhut pyar hai tumse, Jab jarurat thi uski tho who sath de na saki, Laga tha mujhko aisa ki jaan s jada pyari karti h who, Jab aayi gam batne ki baari tho sare gam akele hi le gayi, Ye kaise mohabbat h meri jo mujhe itne dukh de gayi, Lakin hai is dil mein ab bhi uska pyar basa .....
|
May you find serenity and tranquility in a world you may not always understand.
May the pain you have known and the conflict you have experienced give you the strength to walk through life facing each new situation with optimism and courage.
A
...
Read more »
|
HaMaRi AdHoOrI KaHaNi Saath Rooti Thi Mere Saath Hansa Karti Thi, Wo Larki Jo Mere DiL Mei Basa Karti Thi. Meri Chahat Ki Talabgar Thi Is Darja Kay, Wo Musalley Pay Namazon Mei Duaa Karti THi. Ek Lamhey Ka Bicharna Bhi Giran Tha USko, Rootey Huwe Mujhko Khud Se Juda Karti Thi. Mere Dil Mei Raha Karti Thi Dhadkan Ban Kar, Or Saaye Ki Tarha Saath Raha Karti Thi. Rog Dil Ko Laga Bethi Anjaney Mei, Meri Aaghosh Mei Marne Ki Duaa Karti Thi. Baat Qismat Ki Hai Sirf Juda Ho Gaey Hum, Warna Wo Toh Mujhey Taqdeer Kaha Karti Thi..
|
Ghazal - Farq Sirf Itna Sa Tha Farq sirf itna sa tha, US ki doli uthi meri maiyat uthi, phool US per bhi they, phool mujh per bhi they, mehfil wahan bhi thi , log yahan bhi the, Un ka hansna wahan, in ka rona yahan, sahelian us ki bhi thin, dost mere bhi they, Do qul US k perhey, do qul mere perhey, Qazi udher bhi tha, moulvi idher bhi tha, WOH saj k gaya, mujhe sajaya gaya, WOH uth k gaya, mujhe uthaya gaya, Farq sirf itna sa tha usey APNAYA gaya, mujhe DAFNAYA gaya….
| |