har kadam imtehaan leti hai zindagi muskuraane ki keemat mangti he zindagi kabhi hasaati he toh kabhi rulaati hai apna har pehlu dikha deti hai zindagi
Kabhi bachpan kabhi jaawaani bankar apna har haseen rang dikhati hai zindagi har mod pe ek nayaa fasaana sunaati insan ki qadr karna sikhajati hai zindagi
mukaddar ke naam pe fareb karti he ye insaan ko khilona bana deti hai zindagi takdeer ka tamasha dikhate dikhate Rafat ek din khud mauth se haar jaati hai zindagi